Receive exquisite poems.

Amar Sparsh

'yugapath' se

khil uThaa hRday,
paa sparsh tumhaaraa amRt abhay!

khul gae saadhanaa ke bandhan,
sangeet banaa, ur kaa rodan,
ab preeti dravit praaNon kaa paN,
seemaae(n) amiT hueen sab lay.

kyon rahe n jeevan men sukh dukh
kyon janm mRtyu se chitt vimukh?
tum raho dRgon ke jo sammukh
priy ho mujhako bhram bhay sanshay!

tan men aae(n) shaishav yauvan
man men hon virah milan ke vraN,
yug sthitiyon se prerit jeevan
ur rahe preeti men chir tanmay!

jo nity anity jagat kaa kram
vah rahe, n kuchh badale, ho kam,
ho pragati hraas kaa bhee vibhram,
jag se parichay, tumase pariNay!

tum sundar se ban ati sundar
aao antar men antaratar,
tum vijayee jo, priy ho mujh par
varadaan, paraajay ho nishchay!
- Sumitranandan Pant
Recited by: Vinod Tewary

***
Donate
A peaceful house of the beauty and solace of Hindi poetry, free from the noise of advertisements... to keep Kaavyaalaya like this, please donate.

₹ 500
₹ 250
Another Amount
Sumitranandan Pant
's other poems on Kaavyaalaya

 Amar Sparsh
 Pratham Rashmi
 Vijay
This Month :
'Pitaa: Wah kyon nahi ruke'
Braj Shrivastava


mere lie, mere pitaa
tumhaare lie, tumhaare pitaa jaise naheen hain,

ekaant kee khoh men jab jaataa hoo(n)
bilkul, bilkul kareeb ho jaataa hoo(n)
apane hee
tab bhee
..

Read and listen here...


काव्यालय के आँकड़े

वार्षिक रिपोर्ट
अप्रैल 2023 – मार्च 2024
random post | poem sections: shilaadhaar yugavaaNee nav-kusum kaavya-setu | pratidhwani | kaavya-lekh
contact us | about us
Donate

a  MANASKRITI  website