Pyaar Gangaa Kee Dhaar
rajanee jag ko sulaaye
sahe timir kaa vaar
nabh khush ho pahanaaye
chaand-taaron kaa haar
ban ke khud aainaa rahaa roop ko nikhaar
pyaar gangaa kee dhaar
bhookh sah kar bhee maan
dard se jaar-jaar
tRpt kar de shishu ko
kaisee khush ho apaar
bhar ke baanhon men vah kare asunvan sanchaar
pyaar gangaa kee dhaar
bhakt sahate gaye
duShT daityon kee maar
kiyaa jagajananee ne
raakShason par prahaar
maa(n) kee leelee kahe karuNaa jeevan kaa saar
pyaar gangaa kee dhaar
prakRti maan kaa roop
jhele jagati kaa bhaar
laalachee nar kare
daasee jaisaa vyavahaar
chhed naa kar moorakh jabaki naiyaa manjhadaar
pyaar gangaa kee dhaar
krodh mad lobh se
huaa jeevan duShvaar
kaam se nikalaa prem -
puShp ke ras kaa taar
baandh kar le gayaa svaarth-lipsaa ke paar
pyaar gangaa kee dhaar.
This Month :
'Gunaah Kaa Geet'
Dharmveer Bharati
agar mainne kisee ke ho(n)Th ke paaTal kabhee choome
agar mainne kisee ke nain ke baadal kabhee choome
mahaj isase kisee kaa pyaar mujhako paap kaise ho?
mahaj isase kisee kaa svarg mujh par shaap kaise ho?
tumhaaraa man agar seenchoo(n)
gulaabee tan agar seechoo(n) taral malayaj jhakoron se!
tumhaaraa chitr kheenchoo(n) pyaas ke rangeen Doron se
kalee-saa tan, kiran-saa
..
Read and listen here...
This Month :
'Bandhan Doon Kyon'
Shanti Mehrotra
chir mukti n de paayee jisako, usako phir bandhan doo(n) to kyon?
madhumay prabhaat kee belaa men,
ravi ne sandhyaa kaa kiyaa mol;
tab kamal dalon ne bhanvaron ko,
nij bandeegRh se diyaa khol;
to bhee mere bhole bandee !
tum bhee nij ko aajaad karo;
phir saahas lekar ek baar,
soonee kuTiyaa aabaad karo !
main aatm-samarpaN kar n sakee, jhooThaa abhinandan doo(n) to kyon?
..
Read and listen here...
भावुकता और पवित्रता

भाव-रस के लिए हमारे हृदय में एक स्वाभाविक लोभ होता है। काव्य और शिल्पकला से, गल्प, गान और अभिनय से,
भाव-रस का उपभोग करने का आयोजन हम करते रहते हैं।
प्राय: उपासना से भी हम भाव-तृप्ति चाहते हैं। कुछ क्षणों के लिए एक विशेष रस का आभोग करके हम यह सोचते
हैं कि हमें कुछ लाभ हुआ। धीरे-धीरे इस भोग की आदत एक नशा...
पूरे आलेख को इस लिंक पर पढ़ें -